Monday, August 6, 2007

Meher karo kii pyaar karien..

wrote it last year - 2006

Rachanhaar ne khel rachaaya
Is qaynaat ka roop sajaaya
har zarre par pyaar lutaaya
pyaar ka sabak hamein sikhaaya

waqt beeta aur insaan bhatka
duniyaa kii maaya mein atkaa
paap baRha is duniya mein phir
dukh kii badlii barsi ghir ghir

zindagi ke syaah falak par
insaniyat ka chaand tha khoya
Paap basa jab dil ke ander
beghar pyaar bohot tha roya

wo baRa rahim-o-karim hai
to ye dua bhi atta karey
jab dil nawaaza khud rab ne
Ye dil pyaar se saja rahey

andhiyaari shab ke aanchal par
pyaar ke chand sitaary jadien
uskii nawazishon ke sadke se
gham ke andheray door karien

pyaar ke deep jalaaney waaley
auron ko mehkaaney waaley
rab ke dil mein baste hain
pyaar ke nagme gaaney waaley

lafzon ke khwabon se jagkar
pyaar ka chaman aabaad karien
karo karo to bohot keh liya
meher karo kii pyaar karien

meher karo kii pyaar karien

-----------------------------------------------------

(c) Dipti 2006

No comments: