Thursday, August 30, 2007

Destination

Ek bohot khoobsurat baat suni....that i would like to share ...

Ek din Prophet Mohammed ne zameen par apni lakdi se ek seedhi line banaayi aur kaha ke ye seedha raasta hai jo Khuda talak jaata hai... aur phir aarhi tirchi lakeerien iss line ko cross karti huvi banayien, aur kaha ke ye 'subul' (raastey hain) jo insaan ko mukhtalif simtoon (directions) mein le jaatey hain... aur iss mein se har raah par insaan ka shaitaani nafs khada hai, aur wo seedha raasta chalne waalon ko bhatka kar dosray raaston par daal deta hai...

jab ham car drive kar rahey hotay hain to bohot chaukanna (alert) aur hoshiyaar rehte hain ke kahin takkar na lag jaye, kahin kisi dosri vehicle se crash na ho jaye.. raaste ke poles, meridiens, waigerah se bach bach kar... aur apni manzil ki taraf barhte rehte hain... aisey hi aadmi apni zindagi raaste ke traps se, aur dangers se bachtey bachtey guzarta rehta hai.. yahi ravish (driving attitude) 'taqwa' kehlaati hai....a constant awareness of your actions .. and conciousness of God...

ek aur cute baat suni thi.. wo ye ke jo shakhs raaste mein hai aur usko apni manzil kii ..apne destination kii khabar nahin, he will eventually be lost? No, the fact is, he is already lost!....

No comments: